Laal Langoto Haath Mein Soto,
Bajarangi Nakharale,
Laal Hai Yo To Anjani Maa Ka,
Thumak tThumak Kar Chaale,
Ye Hai Ram Ka Deewana,
Siyaram Ka Deewana ॥Kabhi Na Ye Ghabrata Hai,
Dustho Ko Maar Bhagata Hai,
Surya Ko Bhi Isne Apne,
Mukh Main Chupaya Hai,
Bahut Bada Baldhari Hai,
Maa Ka Agyakari Hai,
Maa Ne Kaha Wo Pal Mein,
Karke Dikhaya Hai,
Bada Hai Nirala Matwala,
Sabko Pyara Hai Ye Anjani Laala,
Shish Mukut Mukhde Pe Laali,
Kaan Main Kundal Dale,
Laala Hai Ye To Anjani Maa Ka,
Thumak Thumak Kar Chale,
Ye Hai Ram Ka Deewana,
Siyaram Ka Deewana ॥
Inhen Krodh Jab Aata Hai,
Koi Nahin Tik Paata Hai,
Lakhan Laal Ke Praanon Ko,
Isi Ne Bachaaya Hai,
Ahiraavan Jab Aaya Tha,
Ram Lakhan Ko Chhudaya Tha,
Aisi Maar Maari,
Yamalok Mein Pahunchaaya Tha,
Sagar Laang Jana Buti Lana,
Kandhe Ram Lakhan Bithaana,
Shankar Suvan Kesaree Nandan,
Karate Khel Niraale,
Laala Hai Ye To Anjani Maa Ka,
Thumak Thumak Kar Chale,
Ye Hai Ram Ka Deewana,
Siyaram Ka Deewana ॥
Prabhu Prem Ki Maya Hai,
Tan Sindur Lagaaya Hai,
Dhar Maan Mein Dheeraj Jab Se,
Sabha Bich Aaye Hai,
Hanse Sabha Mein Agyaani,
Ram Ne Leela Pahachaani,
Sinduri Chole Ka Phir,
Varadaan Paye Hain,
Kaisi Inaki Ki Maya,
Lankaapati Bhi Isako Samajh Na Paya,
Kahe ‘Shweta’ Ravan Ki Phir Se,
Akal Mein Pad Gae Taale,
Laala Hai Ye To Anjani Maa Ka,
Thumak Thumak Kar Chale,
Ye Hai Ram Ka Deewana,
Siyaram Ka Deewana ॥
Laal Langoto Haath Mein Soto,
Bajarangi Nakharale,
Laal Hai Yo To Anjani Maa Ka,
Thumak tThumak Kar Chaale,
Ye Hai Ram Ka Deewana,
Siyaram Ka Deewana ॥