Darbar Hajaro Dekhe Hai,
Par Maa Ke Dar Sa Koi,
Darbar Nahin,
Jis Gulshan Me,
Maa Ka Noor Na Ho,
Aisa to Koi Gulzaar Nahin,
Duniya Se Bhala Mai Kya Mangu,
Duniya to Ek Bheekharan Hai,
Maangta Hun Apni Mata Se,
Jahaan Hota Kabhi Inkaar Nahin ॥Maiyya Hai Meri Sherowali,
Shan Hai Maa Ki Badi Nirali,
Sachcha Hai Maa Ka Darbar,
Maiyya Ka Jawab Nahin ॥
Bada, Sachcha Hai Maa Ka Darbar,
Maiyya Ka Jawab Nahin ॥
Maiyya Hai Meri Sherowali,
Shaan Hai Maa Ki Badi Nirali,
Sachcha Hai Maa Ka Darbar,
Maiyya Ka Jawab Nahin ॥
Bada, Sachcha Hai Maa Ka Darbar,
Maiyya Ka Jawab Nahin ॥
Unche Parvat Bhavan Nirala,
Bhavan Me Dekho Singh Vishala,
Unche Parvat Bhavan Niraala,
Bhavan Me Dekho Singh Vishala,
Singh Pe Hai Maiyya Ji Savar,
Maiyya Ka Jawab Nahin ॥
Singh Pe Hai Maiyya Ji Savaar,
Maiyya Ka Jawab Nahin ॥
Mathe Ki Bindiyan Cham Cham Chamke,
Hatho Ka Kangna Khan Khan Khanke,
Laal Gale Me Haar,
Maiyya Ka Jawab Nahi ॥
Bada, Sachcha Hai Maa Ka Darbar,
Maiyya Ka Jawab Nahin ॥
Maa Hai Durga, Maa Hai Kali,
Bhakto Ki Jholi, Bharne Wali Maiya,
Karti Beda Paar,
Maiyya Ka Jawab Nahin ॥
Bada, Sachcha Hai Maa Ka Darbar,
Maiyya Ka Jawab Nahin .
Nange Perau Akbar Aaya,
La Sone Chhatr Chadhaya,
Door Kiya Ahankar,
Maiyya Ka Jawab Nahin ॥
Bada, Sachcha Hai Maa Ka Darbar,
Maiyya Ka Jawab Nahin ॥
Maiyya Hai Meri Sherowali,
Shaan Hai Maa Ki Badi Nirali,
Sachcha Hai Maa Ka Darbar,
Maiyya Ka Jawab Nahin ॥
Bada, Sachcha Hai Maa Ka Darbar,
Maiyya Ka Jawab Nahin ॥