Batao Kahan Milega Shyam ।
Charan Paduka Lekar Sab Se Puchh Rahe Raskhan ॥Vo Nanna Sa Balak Hai, Saanwali Si Soorat Hai,
Baal Ghunghrale Uske, Pahanta Mor Mukut Hai ।
Nayan Uske Kajrare, Hath Nanne Se Pyare,
Bande Paijanyiya Pag Mein, Bade Dilkash Hain Nazare ।
Ghayal Kar Deti Hai Dil Ko, Uski Ik Muskan ॥
Batao Kahan Milega Shyam…
Samajh Mein Aaya Jiska Pata Tu Puchh Raha Hai,
Vo Hai Banke Bihari, Jise Tu Dhundh Raha Hai ।
Kahin Vo Shyam Kahata, Kahin Woh Krshn Murari,
Koi Sanwariya Kahata, Koi Govardhan Dhari ।
Naam Hazaaro Hee Hain Usake Kaee Jagah Mein Dhaam ॥
Batao Kahan Milega Shyam…
Mujhe Na Roko Bhai, Meri Samjho Majburi,
Shyam Se Milne Dedo, Bahut Hai Kaam Zaruri ।
Sidion Pe Mandir Ke Daal Kar Apna Dera,
Kabhi to Ghar Ke Bahar Shyam Ayega Mera ।
Intezaar Karte Karte Hi Subah Se Ho Gayi Shyam ॥
Batao Kahan Milega Shyam…
Jaag Kar Raat Bitai Bhor Hone Ko Aayi,
Tabhi Uske Kaano Mein Koi Aahat Si Aai ।
Vo Aage Piche Dekhe, Vo Dekhe Dae Bae,
Vo Charo Aur Hi Dekhe, Nazar Koi Na Aae ।
Jhuki Nazar to Kadmo Mein Hi Baitha Nanna Shyam ॥
Batao Kahan Milega Shyam…
Khushi Se Gadgad Hokar God Mein Use Uthaya,
Laga Kar Ke Sine Se Bahut Hi Pyar Lutaya ।
Paduka Pahanane Ko Pawan Jaise Hi Uthaya,
Nazara Aisa Dekha Kaleja Mooh Ko Aaya ।
Kante Chubh Chubh Kar Ke Ghayal Hue the Nanne Pavan ॥
Batao Kahan Milega Shyam…
Khabar Dete to Khud Hi Tumhare Paas Main Aata,
Na Itne Chhale Padte Na Chubta Koi Kanta ।
Chhavi Jaisi Tu Meri Basa Ke Dil Mein Laya,
Usi Hi Roop Mein Tumse Yahan Main Milne Aaya ।
Gokul Se Main Paidal Aaya Tere Lie Brijdham ॥
Bhav Ke Bhukhe Hain Bhagwan…
Shyam Ki Bate Sunkar Kavi Vo Hua Deewana,
Kaha Mujhko Bhi Dedo Apne Charanon Mein Thikana ।
Tu Malik Hai Duniya Ka Yah Maine Jaan Liya Hai,
Likhunga Pad Tere Hi Aaj Se Than Liya Hai ।
Shyam Prem Ras Barsa ‘sonu’ Khan Bana Raskhan ॥
Bhav Ke Bhukhe Hain Bhagwan…
Kanto Par Chalkar Ke Rakhte Apne Bhagat Ka Maan ।
Bhav Ke Bhukhe Hain Bhagwan ॥