Sab Dhamon Se Dham Nirala,
Shri Vrindavan Dham,
Kunj Nikunj Mein Jahan Viraje,
Pyare Shyama Shyam,
Mera Vrindavan Pyara,
Mera Brajdham Hai Nyara,
Mera Vrindavan Pyara,
Mera Brajdham Hai Nyara ॥(“Gali Gali Mein Sant Jahan,
Radha Naam Ka Jahan Dhan Hai,
Raj Chale Jahan Shyama Ju Ka,
Aisa Hamara Vrindavan Hai।“)
Jahan Bahati Hai Yamuna Rani,
Jiski Hai Neel Dhara,
Kan Kan Mein Shyam Samaye,
Jara Dekho Aake Najara,
Gali Gali Mein Sant Viraje,
Gali Gali Mein Sant Viraje,
Japte Krishn Ko Naam,
Mera Vrindavan Pyara,
Mera Brajadham Hai Nyara,
Mera Vrindavan Pyara,
Mera Brajadham Hai Nyara ॥
Kahin Banshi Ki Dhun Baaje,
Kahin Chham Chham Baaje Payal,
Pyaala Is Ras Ka Peekar,
Tu Ho Jaiyo Re Pagal,
‘chitr Vichitr’ Ka Braj Bhoomi Ko,
‘chitr Vichitr’ Ka Braj Bhoomi Ko,
Koti Koti Pranam,
Mera Vrindavan Pyara,
Mera Brajadham Hai Nyara,
Mera Vrindavan Pyara,
Mera Brajadham Hai Nyara ॥
Uski Kirpa Ka Harpal,
Jahan Lutata Hai Bhandar,
Milta Hai Yahan Pe Sabko,
Banke Thakur Ka Pyar,
Yugal Charan Mein Aake Humko,
Yugal Charan Mein Aake Humko,
Mil Jaye Vishram,
Mera Vrindavan Pyara,
Mera Brajadham Hai Nyara,
Mera Vrindavan Pyara,
Mera Brajadham Hai Nyara ॥
Sab Dhamon Se Dham Nirala,
Shri Vrindavan Dham,
Kunj Nikunj Mein Jahan Viraje,
Pyare Shyama Shyam,
Mera Vrindavan Pyara,
Mera Brajadham Hai Nyara,
Mera Vrindavan Pyara,
Mera Brajadham Hai Nyara ॥
| | | | | | | |