॥ Doha ॥
Jaise Atal Himalay,
Aur Jaise Adig Sumer ।
Aise Hi Swarg Dwar Pe,
Avichal Khade Kuber ॥Vighna Haran Mangal Karan,
Suno Sharanagat Ki Ter ।
Bhakt Hetu Vitaran Karo,
Dhan Maya Ke Dher ॥
॥ Chaupai ॥
Jai Jai Jai Shri Kuber Bhandari ।
Dhan Maya Ke Tum Adhikari ॥
Tap Tej Punj Nirbhay Bhay Hari ।
Pavan Veg Sam Sam Tanu Baladhari ॥
Swarg Dwar Ki Karen Pahare Dari ।
Sevak Indra Dev Ke Agyakari ॥
Yaksha Yakshani Ki Hai Sena Bhari ।
Senapati Bane Yuddh Mein Dhanudhari ॥ ॥
Maha Yodha Ban Shastra Dharain ।
Yuddh Karain Shatru Ko Marain ॥
Sada Vijayi Kabhi Na Harain ।
Bhagat Janon Ke Sankat Tarain ॥
Prapitamah Hain Svayan Vidhata ।
Pulista Vansh Ke Janm Vikhyata ॥
Vishrava Pita Idavida Ji Mata ।
Vibhishan Bhagat Apake Bhrata ॥ ॥
Shiv Charanon Mein Jab Dhyan Lagaya ।
Ghor Tapasya Kari Tan Ko Sukhaya ॥
Shiv Varadan Mile Devaty Paya ।
AmrIt Pan Kari Amar Hui Kaya ॥
Dharm Dhvaja Sada Lie Hath Mein ।
Devi Devata Sab Phirain Sath Mein ॥
Pitambar Vastra Pahne Gat Mein ।
Bal Shakti Poori Yaksh Jat Mein ॥ ॥
Svarn Sinhasan Aap Virajain ।
Trishool Gada Hath Mein Sajain ॥
Shankh Mridang Nagare Bajain ।
Gandharv Rag Madhur Svar Gajain ॥
Chausath Yogini Mangal Gavain ।
Riddhi-siddhi Nit Bhog Lagavain ॥
Daas Dasani Sir Chhatr Phiravain ।
Yaksha Yakshini Mil Chanvar Dhoolavain ॥ ॥
Rishiyon Mein Jaise Parashuram Bali Hain ।
Devanh Mein Jaise Hanuman Bali Hain ॥
Purushon Mein Jaise Bhim Bali Hain ।
Yakshon Mein Aise Hi Kuber Bali Hain ॥
Bhagaton Mein Jaise Prahalad Bade Hain ।
Pakshiyon Mein Jaise Garud Bade Hain ॥
Nagon Mein Jaise Shesh Bade Hain ।
Vaise Hi Bhagat Kuber Bade Hain ॥ ॥
Kandhe Dhanush Hath Mein Bhala ।
Gale Phoolon Ki Pahani Mala ॥
Swarn Mukut Aru Deh Vishala ।
Door-door Tak Hoe Ujala ॥
Kuber Dev Ko Jo Man Mein Dhare ।
Sada Vijay Ho Kabhi Na Hare ॥
Bigde Kam Ban Jaen Sare ।
Ann Dhan Ke Rahen Bhare Bhandare ॥ ॥
Kuber Garib Ko Aap Ubharain ।
Kuber Karz Ko Shighra Utarain ॥
Kuber Bhagat Ke Sankat Tarain ।
Kuber Shatru Ko Kshan Mein Marain ॥
Shighr Dhani Jo Hona Chahe ।
Kyun Nahin Yaksh Kuber Manaen ॥
Yah Path Jo Padhe Padhaen ।
Din Dugana Vyapar Badhaen ॥ ॥
Bhoot Pret Ko Kuber Bhagavain ।
Ade Kaam Ko Kuber Banavain ॥
Rog Shok Ko Kuber Nashavain ।
Kalank Kodh Ko Kuber Hatavain ॥
Kuber Chadhe Ko Aur Chadhade ।
Kuber Gire Ko Pun: Utha De ॥
Kuber Bhagya Ko Turant Jaga De ।
Kuber Bhoole Ko Raah Bata De ॥ ॥
Pyase Ki Pyas Kuber Bujha De ।
Bhookhe Ki Bhookh Kuber Mita De ॥
Rogi Ka Rog Kuber Ghata De ।
Dukhiya Ka Dukh Kuber Chhuta De ॥
Banjh Ki God Kuber Bhara De ।
Karobar Ko Kuber Badha De ॥
Karagar Se Kuber Chhuda De ।
Chor Thagon Se Kuber Bacha De ॥ ॥
Kort Kes Mein Kuber Jitavai ।
Jo Kuber Ko Man Mein Dhyavai ॥
Chunav Mein Jit Kuber Karavain ।
Mantri Pad Par Kuber Bithavain ॥
Path Kare Jo Nit Man Lai ।
Usaki Kala Ho Sada Savai ॥
Jispe Prasann Kuber Ki Mai ।
Uska Jeevan Chale Sukhadai ॥ ॥
Jo Kuber Ka Path Karavai ।
Uska Beda Par Lagavai ॥
Ujde Ghar Ko Pun: Basavai ।
Shatru Ko Bhi Mitr Banavai ॥
Sahastr Pustak Jo Dan Karai ।
Sab Sukh Bhod Padarth Pai ॥
Pran Tyag Kar Svarg Mein Jai ।
Manas Parivar Kuber Keerti Gai ॥ ॥
॥ Doha ॥
Shiv Bhakton Mein Agrani,
Shri Yaksharaj Kuber ।
Hrday Mein Gyan Prakash Bhar,
Kar Do Door Andher ॥
Kar Do Door Andher Ab,
Jara Karo Na Der ।
Sharan Pada Hoon Apaki,
Daya Ki Drishti Pher ॥
Nitt Nem Kar Pratah Hi,
Path Karaun Chalisa ।
Tum Meri Manokamna,
Poorn Karo Jagadish ॥
Magasar Chhathi Hemant Rtu,
Sanwat Chausath Jaan ।
Astuti Chalisa Shivahi,
Poorn Kin Kalyan ॥