Khul Gaye Saare Taale Vaah Kya Baat Ho Gayi,
Jabse Janme Kanhaiya Karamaat Ho Gayi ॥Shlok-kabhi Narasinh Bankar,
Pet Hirnaakush Ka Vo Phaade,
Kabhi Avtaar Lekar,
Ram Ka Ravan Ko Sanhare,
Kabhi Shri Shyam Ban Karke,
Patak Kar Kans Ko Maare,
Dason Guruon Ka Le Avtaar,
Vo Hi Har Rup the Dhaaren,
Dharam Ka Lop Hokar Jab,
Paapmay Sansaar Hota Hai,
Dukhi Aur Deen Nirbal Ka,
Jab Hahakaar Hota Hai,
Prabhu Ke Bhakto Par Jab,
Ghor Atyachar Hota Hai,
Tabhi Sansar Me Bhagwan Ka,
Avtaar Hota Hai ॥
Khul Gaye Saare Taale Wah Kya Baat Ho Gayi,
Jabse Janme Kanhaiya Karamaat Ho Gayi,
Tha Ghanghor Andhera Kaisi Raat Ho Gayi,
Jabse Janme Kanhaiya Karamaat Ho Gayi ॥
Tha Bandikhana Janam Liye Kanha,
Dwapar Ka Zamana Purana,
Tale Lagana Pahare Bithana,
Vo Kans Ka Julam Dhaana,
Us Raat Ka Drashy Bhayankar Tha,
Us Kans Ko Marne Ka Dar Tha,
Badal Chhaye Umdaaye Barsaat Ho Gayi,
Jabse Janme Kanhaiya Karamaat Ho Gayi ॥
Khul Gaye Taale Soye the Rakhwale,
The Hatho Me Barchhiya Bhaale,
Dil Ke Vo Kaale Pade the Paale,
Vo Kaal Ke Hawale Hone Vaale,
Vasudev Ne Shyam Ko Uthaya Tha,
Tokri Me Shri Shyam Ko Litaya Tha,
Gokul Dhaaye Harshaye Kesi Baat Ho Gayi,
Jabse Janme Kanhaiya Karamaat Ho Gayi ॥
Ghatayen Thi Kaali Ajab Matwali,
Aur Tokre Me Mohan Murari,
Sahas Banadhaari Kare Rakhwari,
To Jamuna Ne Baat Vichaari,
Shyam Aaye Hai Bhakto Ke Hitkari,
Inke Charnon Me Ho Jaoon Balihari,
Jaoon Wari Hamari Mulakat Ho Gayi,
Jabse Janme Kanhaiya Karamaat Ho Gayi ॥
Chhavi Natwar Ki Vo Parameshwar Ki,
Vo Ishwar Vishwambhar Ki,
Na Baat Beedar Ki Na Jamuna Ke Sar Ki,
Dekh Ke Jhaanki Girdhar Ki,
Vasudev Dagar Li Nand Ghar Ki,
Bhakto Ne Katha Kahi Saanwal Ki,
Saphal Tanwar Ki Kalam Dawat Ho Gayi,
Jabse Janme Kanhaiya Karamaat Ho Gayi ॥
Khul Gaye Saare Taale Wah Kya Baat Ho Gayi,
Jabse Janme Kanhaiya Karamaat Ho Gayi,
Tha Ghanghor Andhera Kaisi Raat Ho Gayi,
Jabse Janme Kanhaiya Karamaat Ho Gayi ॥