॥ Doha ॥
Bando Santoshi Charan,
Riddhi Siddhi Datar ।
Dhyan Dharat Hi Hott Nar,
Dukh Sagar Se Paar ॥
Bhaktan Ko Santosh De,
Santoshi Tav Nama ।
Kripa Karahu Agdamba,
Aab Aaya Tere Dham ॥
॥ Chaupai ॥
Jai Santoshi Maat Anupam ।
Shanti Daayani Roop Manoram ॥
Sundar Varan Chaturbhuj Rupa ।
Vaish Manohar Lalit Anupa ॥
Shwetambar Roop Manhaari ।
Maa! Tumhari Chavi Jag Se Nayari ॥
Divy Swarup Aayat Lochan ।
Darshan Se Ho Sankat Mochan ॥ ॥
Jai Ganesh Ki Suta Bhavani ।
Ridhi Sidhi Ki Putri Gyani ॥
Aagam Aagochar Tumhari Maya ।
Sab Par Karo Kripa Ki Chaya ॥
Naam Aanek Tumharo Mata ।
Aakhil Vishv Hai Tumko Dhayata ॥
Tumne Roop Aaneko Dhare ।
Ko Kahi Sake Charitra Tumhare ॥ ॥
Dham Aanek Kahan Tak Kahiye ।
Sumiran Tab Karke Sukh Lehiye ॥
Vindiyachal Mai Vindiyavasini ।
Koteshwar Saraswati Suhasini ॥
Kalkate Mai Tu Hi Kali ।
Dusht Nashini Mahakarali ॥
Samhal Pur Bahuchara Kahati ।
Bhaktjano Ka Dukh Mitati ॥ ॥
Jwala Ji Mai Jwala Devi ।
Pujat Nitay Bhakt Jan Savi ॥
Nagar Bambai Ki Maharani ।
Maha Lakshmi Tum Kalyani ॥
Madura Mai Meenakshi Tum Ho ।
Sukh-dukh Sabki Sakshi Tum Ho ॥
Rajnagar Mai Tum Jagdambay ।
Banee Bhradkali Tum Ambe ॥ ॥
Pavagadh Mai Durga Mata ।
Akhil Vishav Tera Yash Gatta ॥
Kashi Puradhishwari Mata ।
Aaanpurna Naam Suhata ॥
Sarwanand Karo Kaliyani ।
Tumhi Sharda Amrit Vani ॥
Tumhari Mahima Jal Mai Thal Mai ।
Dukh Darid Sab Meto Pal Mai ॥ ॥
Jete Risiwar Aur Munisha ।
Narad Dev Aur Devesha ॥
Es Jagati Ke Nar Aur Nari ।
Dhayan Dharat Hai Maat Tumhari ॥
Japar Kripa Tumhari Hoti ।
Veh Patta Bhakti Ka Moti ॥
Dukh Darid Sankat Mit Jata ।
Dhayan Tumhara Jo Jan Dhayata ॥ ॥
Jo Jan Tumhari Mahima Gave ।
Dhayan Tumhara Kar Such Pave ॥
Jo Maan Rakhe Sudh Bhavana ।
Taki Puran Karo Kamna ॥
Kumti Nivari Sumati Ki Datri ।
Jayati Jayati Mata Jagdhatri ॥
Sukarwar Ka Diwas Suhavan ।
Jo Vart Kare Tumhara Paven ॥ ॥
Guud Chole Ka Bhog Lagave ।
Katha Tumhari Sune Sunnave ॥
Vidhivat Puja Kare Tumhari ।
Phir Prasad Pave Subhkari ॥
Shakti Samrath Ho Jo Dhan Ko ।
Dan Dakshina De Vipran Ko ॥
Ve Jagti Ke Nar Aur Nari ।
Maanvanchit Phal Pave Bhari ॥ ॥
Jo Jan Sharan Tumhari Jave ।
so Nishchaye Bhav Se Tar Jave ॥
Tumharo Dyan Kumari Dhayave ।
Nishchaye Maanvanchit Var Pave ॥
Sadhva Pooja Kare Tuhari ।
Amar Suhagin Ho Wo Nari ॥
Vidhva Dhar Ke Dhyan Tumhara ।
Bhavsagar Se Utre Para ॥ ॥
Jayati Jayati Jai Sankat Harni ।
Vidhan Vinashan Mangal Karni ॥
Hum Par Sankat Hai Aati Bhari ।
Vegi Khabar Lo Maat Hamari ॥
Nishidin Dhayan Tumharo Dhayta ।
Dehi Bhakti Var Hum Ko Mata ॥
Yeh Chalisa Jo Nit Gave ।
so Bhavsagar Se Tar Jave ॥ ॥