The official logo for the brand - Spiritual Hindu

Spiritual Hindu

DeitiesTemplesDaily PanchangAartiBhajansChalisaAbout UsContact Us

Mai Dhundta Tujhe Tha: Prarthana | मैं ढूँढता तुझे था - प्रार्थना | In English

Video
Audio
Lyrics
Video PlaceholderVideo Play Icon
Language:
EnglishHindi
Icon for share on facebookIcon for share on twitterIcon for share on pinterestIcon for share on whatsapp
Icon for copy
Main Dhundhta Tujhe Tha, Jab Kunj Aur Van Mein ।
Tu Khojta Mujhe Tha, Tab Deen Ke Sadan Mein ॥Tu Aah Ban Kisi Ki, Mujhko Pukarta Tha ।
Main Tha Tujhe Bulata, Sangeet Mein Bhajan Mein ॥

Mere Lie Khada Tha, Dukhiyon Ke Dwar Par Tu ।
Main Baat Johata Tha, Teri Kisi Chaman Mein ॥

Bankar Kisi Ke Aansoo, Mere Lie Baha Tu ।
Ankhe Lagi Thi Meri, Tab Maan Aur Dhan Mein ॥

Baje Bajabaja Kar, Main Tha Tujhe Rijhata ।
Tab Tu Laga Hua Tha, Patiton Ke Sangathan Mein ॥

Main Tha Virakt Tujhse, Jag Ki Anityata Par ।
Utthan Bhar Raha Tha, Tab Tu Kisi Patan Mein ॥

Bebas Gire Huon Ke, Tu Beech Mein Khada Tha ।
Main Swarg Dekhta Tha, Jhukta Kahan Charan Mein ॥

Tune Diya Anekon Avsar Na Mil Saka Main ।
Tu Karm Mein Magan Tha, Main Vyast Tha Kathan Mein ॥

Tera Pata Sikandar Ko, Main Samajh Raha Tha ।
Par Tu Basa Hua Tha, Pharhad Kohkan Mein ॥

Krisas Ki Haay Mein Tha, Karta Vinod Tu Hi ।
Tu Ant Mein Hansa Tha, Mahmud Ke Rudan Mein ॥

Prahalad Janta Tha, Tera Sahi Thikana ।
Tu Hi Machal Raha Tha, Mansoor Ki Ratan Mein ॥

Akhir Chamak Pada Tu Gandhi Ki Haddiyon Mein ।
Main Tha Tujhe Samajhta, Suharab Peele Tan Mein ॥

Kaise Tujhe Milunga, Jab Bhed Is Kadar Hai ।
Hairan Hoke Bhagwan, Aaya Hoon Main Saran Mein ॥

Tu Roop Kai Kiran Mein Saundary Hai Suman Mein ।
Tu Pran Hai Pavan Mein, Vistar Hai Gagan Mein ॥

Tu Gyan Hinduon Mein, Imaan Muslimon Mein ।
Tu Prem Krishchiyan Mein, Tu Satya Hai Sujan Mein ॥

Hey Dinbandhu Aisi, Pratibha Pradan Kar Tu ।
Dekhoon Tujhe Drgon Mein, Man Mein Tatha Vachan Mein ॥

Kathinaiyon Dukhon Ka, Itihas Hi Suyash Hai ।
Mujhko Samarth Kar Tu, Bas Kasht Ke Sahan Mein ॥

Dukh Mein Na Haar Manoon, Sukh Mein Tujhe Na Bhulun ।
Aisa Prabhav Bhar De, Mere Adhir Man Mein ॥
- Ramnaresh Tripathi

Unveiling Connected Deities

Discover the Spiritual Tapestry of Related Deities

Vasudeva

Vasudeva

Vasudeva | Vishnu Avatar, Avatar of Love, Preserver

Durga

Durga

Durga | Goddess, Personality, & Story

Vishnu

Vishnu

Vishnu | Hindu deity

Indra

Indra

Indra | Hindu God of War, Rain & Thunder

Kali

Kali

Kali | Hindu Goddess of Time, Change & Empowerment

Krishna

Krishna

Krishna | Story, Meaning, Description, & Legends

View All

Discover Sacred Temples

Embark on a Spiritual Journey Through Related Temples

Shiv Mandir

Shiv Mandir

Bapa, Haryana

Jalaram Temple

Jalaram Temple

Amod, Gujarat

Shiv Mandir

Shiv Mandir

Una, Himachal Pradesh

Nanda Devi Mandir

Nanda Devi Mandir

Gurugram, Haryana

Shri Sidhdata Ashram

Shri Sidhdata Ashram

Part 3, Haryana

पौराणिक खेड़ा पती मंदिर, भारत नगर

पौराणिक खेड़ा पती मंदिर, भारत नगर

Bhopal, Madhya Pradesh

View All
Searches leading to this page
Mai Dhundta Tujhe Tha: Prarthana bhajan | Mai Dhundta Tujhe Tha: Prarthana bhajan in English | Mai Dhundta Tujhe Tha: Prarthana devotional song | Mai Dhundta Tujhe Tha: Prarthana bhajan lyrics | Mai Dhundta Tujhe Tha: Prarthana bhajan youtube | Mai Dhundta Tujhe Tha: Prarthana bhajan online | Mai Dhundta Tujhe Tha: Prarthana religious song | Mai Dhundta Tujhe Tha: Prarthana bhajan for meditation
Similar videos of Mai Dhundta Tujhe Tha: Prarthana | मैं ढूँढता तुझे था - प्रार्थना | In English
Video PlaceholderVideo Play Icon